Kuch Kar Dikhao!

Ediyon ke neeche rishton ko kuchal Kar Kya pa loge
ujaalon ke diye bujhakar Kya paa loge

Khud se nigaahen milakar dekho zara
Apni hi nazron see bachke kaha jaoge

Zindagi jeene ke liye bani thi tumhaari
Saari Umar baith baith tumne guzaari
Soch me doobey rahe tum
Kuch Kar ke kab dikhaoge

Kabhi samay ko kosa
Kabhi logo ko
Kabhi Kuch kami thi
ya kuch sahi nahi
Khudse daud lageyi hai
Ab rukkar tham kab jaoge

Waqt nikal raha hai
Tumhaare haath me nahi
Jaago ab Zara
Shaam dhAlne lagi
Kuchto tum kaho
Kuch karke kab dikhaoge?




Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

5 Things that Keep You Stress Free

Are You Really Depressed? Myths and Facts

Top 5 Things Mumbai Taught Me